Anandmurti Gurumaa-An Enlightened Mystic Master










Khanjar hain teri aankhein, talwaar teri aankhein

Zinda na rehne dengi, eh yaar teri aankhei

Chehre pe to gussa hai, aankhon mein mohabbat hai

Karti hain mere dilbar, ikraar teri aankhein

Zinda na rehne dengi, eh yaar teri aankhein


Yoon bolti aankhein bhi, afsaane sunati hain

Rakhti hain zubaan jaise, eh yaar teri ankhein

Zinda na rehne dengi, eh yaar teri aankhein


Eh nargis-e-mastana, Allah tujhe rakhe

Rehti hain tasavvur mein, har baar teri aankhein

Zinda na rehne dengi, eh yaar teri aankhein


Khanjar hain teri aankhein, talwaar teri aankhein

Zinda na rehne dengi, eh yaar teri aankhein